Showing posts with label mohsin. Show all posts
Showing posts with label mohsin. Show all posts

Sep 1, 2009

zikr-e-shab-e-firaq se wahashat use bhi thi

zikr-e-shab-e-firaq se wahashat use bhi thi
meri tarah kisi se muhabbat use bhi thi

mujh ko bhi shauq tha naye chehron ki did ka
rasta badal k chalne ki adat use bhi thi

us rat der tak wo raha mahw-e-guftagu
masruf main bhi kam tha faragat use bhi thi

sunata tha wo bhi sab se purani kahaniyan
taza rafaqaton ki zarurat use bhi thi

mujh se bichar k shahar main ghul mil gaya wo shakhs
halanke shahar bhar se raqabat use bhi thi

wo mujh se barh k zabt ka adi tha ji gaya
warna har ek sans qayamat use bhi thi

Wafa mein Aib yeah hunar

Wafa mein Aab yeah hunar Ikhtiyaar karna hai..
Woh sach kahay na kahay aaitbaar karna hai..

Yeah tujh ko jaagtay rehnay ka shouq kab say howa
Mujhay tu khair taira intazaaar karna hai

Hawa ke zad mein jalanay hain ansoon kay chiraagh
Kabhi yeah jashan sar rah’guzaar karna hai

woh muskura kay naye waswasoon mein daal gaya
Khayaal tha keh ussay sharamsaar karna hai

Misaal e shaakh e barhana khizan ke rut mein kabhi
Khud apnay jisam ko bay barg o baar karna hai

tairay firaaq mein din kiss tarhaan kattain apnay
Keh shughal e shab tu sitaray shumaar karna hai

Chaloo yeah ashak hee moti samajh kay baich ayain
Kissi tarhaan tu humain rooz’gaar karna hai

Kabhi tu dil mein chupay zakham bhi numayaan hoon
Qaba samajh kay badan taar taar karna hai

Khda khabar yeah koi zid keh shouq hai MOHSIN
Khud Apni jaan kay dushman say pyaar karna hai ….

Tu merey Pass Nahin Hai Phir Bhi

Tu Merey Pass Nahin Hai Phir Bhi
Teri Yaad Say Mohabbat Ki Hai

Kabhi Tu Nay Bhi Mujhay Yaad Kya Ho Ga
Main Nay Un Lamhaat Say Mohabbat Ki Hai

Jin Main Ho Sirf Teri Aur Meri Baatain
Main Nay Un Auqaat Say Mohabbat Ki Hai

Aur Jo Mahekay Ho Sirf Teri Hi Mohabbat Say
Main Nay Un Jazbaat Say Mohabaat Ki Hai

Tujh Say Milna Tu Ab Khuwaab Sa Lagta Hai
Mohsin Nay Terey Intezaar Say Mohabbat Ki Hai

Jala k tu bhi agar aasra na day

Jala k tu bhi agar aasra na dey mujh ko

Ye khauf hay k hawa phir bujha na dey mujh ko

Main is khyaal say mur mur k daikhta hoon usay

Bichar k wo bhi kaheen phir sada na dey mujh ko

Bus is khyaal say shab bhar main so nahi sakta

K khauf e khawaab e guzishta jaga na dey mujh ko

Teray baghair main tairi tarah say zinda rahoon

Ye hausla bhi dua kar Khuda na dey mujh ko

Main is liye bhi usay khud manaoon ga Mohsin

K mujhy say rothnay wala bhula na dey

Khud ba-khud chor gay

Khud ba-khud chor gay hein tu chalo thek hua

Itne ehbab kahan hmse sanbhale jate

Hm b Ghalib ki trha kocha-e-jana se MOHSIN

Na nikalte tu ksi roz nikale jate

Mai aiyna tha

Main aiyna tha, woh maira khayal rakhti thi,

Main toot-ta tha to chun kar sambhal rakhti thi..

Har aik maslay ka hal nikal rakhti thi,

Zaheen thi, mujhay hairat main daal rakhti thi..

Main jab bhi tark-e-taluq ki baat karta tha,

Woh rokti thi mujhay, kal pay taal rakhti thi..

Woh mairay dard ko chunnti thi apni pooron say,

Woh mairay wastay khud ko nidhal rakhti thi..

Woh dobnay nahi daiti thi dukh kay darya main,

Mairay wajood ki naow uchaal rakhti thi..

Duain us ki balaon ko rook laiti thin,

Woh mairay chaar so hathon ki dhaal rakhti thi..

Ik aisi dhun kay nahi phir kabhi main nay suni,

Woh munfarid sa hansi main kamal rakhti thi..

Usay nadamatain mairi kahan gawara thin,

Woh mairay wastay asaan sawal rakhti thi..

Bichar kay uss say main dunya ki thokaron me hon Mohsin,

Woh pass thi tau mujhay lazawaal rakhti thi..