Showing posts with label parvin. Show all posts
Showing posts with label parvin. Show all posts

Sep 1, 2009

Apni ruswai tere nam ka charcha dekhun

apni ruswai tere nam ka charcha dekhun
ek zara sher kahun aur main kya kya dekhun

nind a jaye to kya mahfilen barpa dekhun
ankh khul jaye to tanhai ka sahra dekhun

sham bhi ho gai dhundhala gai ankhen bhi meri
bhulnewale main kab tak tera rasta dekhun

sab ziden us ki main puri karun har bat sunun
ek bache ki tarah se use hansta dekhun

mujh pe cha jaye wo barsat ki khushbu ki tarah
ang ang apna usi rut main mahakta dekhun

tu meri tarah se yakta hai magar mere habib
ji main ata hai koi aur bhi tujh sa dekhun

main ne jis lamhe ko puja hai use bas ek bar
khwab ban kar teri ankhon main utarta dekhun

tu mera kuch nahin lagta hai magar jan-e-hayat
jane kyon tere liye dil ko dharakta dekhun

Badban khulne se pahle ka

badban khulne se pahle ka ishara dekhna
main samandar dekhti hun tum kinara dekhna

yun bicharna bhi bahut asan na tha us se magar
jate jate us ka wo mur k dubara dekhna

kis shabahat ko liye aya hai darwaze pe chand
ai shab-e-hijran zara apna sitara dekhna

aine ki ankh hi kuch kam na thi mere liye
jane ab kya kya dikhayega tumhara dekhna

Us ne khushboo ke

US NE KHUSHBOO KE TARAH MAIRY PAZERAE KE,
KOO BA KOO PHAIL GAE BAAT SHANASAEY KE,

KAISAY KEH DOON K US NE MUJHAY CHOR DEA?
BAAT TO SACH HA MAGAR BAAT HA RUSWAEY KE.

WO JAHAAN BHE GEA LAOTA TO MERAY PAAS AAYA,
BAS YAHE BAAT HA ACHE MAIRAY HARJAEY KE.
(PARVIN SHAKIR)

Main kachchy neend mein hoon

Main kachchy neend mein hoon,
aur apney neem_Khaabidaa tanafus mein utaraty chaaNdany ke chaap sunaty hoon.
Gumaan hai
aaj bhe shaayad
mere maathe pe terey lab
sitaare sabaat karate hain.

(Parvin Shakir)

Barish hi to phulon k

barish hui to phulon k tan chak ho gaye
mausam k hath bhig k saffak ho gaye

badal ko kya khabar k barish ki chah main
kitne buland-o-bala shajar khak ho gaye

jugnu ko din k waqt pakarne ki zid karen
bache hamare ahad k chalak ho gaye

lahra rahi hai barf k chadar hata k ghas
suraj ki shah pe tinak bhi bebak ho gaye

suraj dimag log bhi iblag-e-fikr main
zulf-e-shab-e-firaq k pechak ho gaye

jab bhi garib-e-shahar se kuch guftagu hui
lahaje hawa-e-sham k namnak ho gaye

sahil pe jitne abguzida the sab k sab
dariya k rukh badalte hi tairak ho gaye

Chehra mera tha nigahen us ki

chehra mera tha nigahen us ki
khamushi main bhi wo baten us ki

mere chehre pe gazal likhti gain
sher kahti hui ankhen us ki

shokh lamhon ka pata dene lagin
tez hoti hui sansen us ki

aise mausam bhi guzare ham ne
subhen jab apni thin shamain us ki

dhyan main us k ye alam tha kabhi
ankh mahtab ki yaden us ki

faisala mauj-e-hawa ne likkha
andhiyan meri baharen us ki

nind is soch se tuti aksar
kis tarah katati hain raten us ki

dur rah kar bhi sada rahti hai
mujh ko thame hue bahen us ki

Chehra mera tha nigahen us ki

chehra mera tha nigahen us ki
khamushi main bhi wo baten us ki

mere chehre pe gazal likhti gain
sher kahti hui ankhen us ki

shokh lamhon ka pata dene lagin
tez hoti hui sansen us ki

aise mausam bhi guzare ham ne
subhen jab apni thin shamain us ki

dhyan main us k ye alam tha kabhi
ankh mahtab ki yaden us ki

faisala mauj-e-hawa ne likkha
andhiyan meri baharen us ki

nind is soch se tuti aksar
kis tarah katati hain raten us ki

dur rah kar bhi sada rahti hai
mujh ko thame hue bahen us ki

Apne bistar pay buhut

apne bistar pay buhut dair se main naim daraz
sochti thi wo is waqt kaha par ho ga
main yaha hoin magar us kucha rang o boo main
rooz ki tarha se wo ajj bhi ayya ho ga
or jab us ne waha mujh ko na paya ho ga!

ap ko ilm hai’ wo aj nahi aye hain
meri har dost se us ne yehi pocha ho ga
kiyun nahi aye wo? kya baat hoye hai akhir
khud se is baat pay soo baar wo uljha ho ga
kal wo ayegi gi to main us se nahi bologa
ap hi ap is baar wo rotha ho ga
wo nahi hai to balandi ka safar kitna kathan
seriyah charte huwe us ne ye socha ho ga
rahadari main’ hare laan main’ phoolon k karib
us ne har semtht mujhe aan ke dhounda ho ga

naam bhole se jo mera kehe aya ho ga
ghair mehsoos tareeky se wo chunka ho ga
ak jumle ko kahe baar sunayaa ho ga
baat karte huwe so baar wo bholla ho ga
ye jo larki nahi aye hai\’ kehe wo to nahi
us ne har chehra yehi soch k dakha ho ga
jane mehfil hai\’ magar aaj fakat mere beghair
haye kis darja wohi bazm main tanha ho ga
kabi sannaton se wehshaat jo hoye ho gi usey
us ne be sackta phir mujh ko pukara ho ga
chalte chalte kohi manoos se ahaat pa kar
doston ko bhi kissi azer se rooka ho ga
yaad kar k mujhe’ naam ho geyi hongi palkain
ankh main par gya kuch” keh ke tala ho ga
or ghabra ke kitabon main jo li ho gi pana
har sater main mera chehra ubhar ayya ho ga
jab mili ho gi usey mere allalat ki khabar
us ne aista se deewar ko thama ho ga
soch kar ya ‘ ke behail jaye parshani dil
yon be wajah’ kisi shaks ko rooka ho ga!

itafakan mujhe uss shaam meri aik dost mili
main ne pocha ke suno- ayea thai wo? kesse thai ?
mujh ko pocha tha? mujhe dhounda tha charoun janab?
uss ne aik lamhe ke liye daikha mujhe or phir hans de
us hansi main to wo talkhi thi ke us ke agay
kya kaha us ne – mujhe yaad nehi – LAKIN
ITNA MALOOM HAI ‘ khuwaboin ka bharaam toot gya!

Tumhara kehna hai

Tumhara kehna hai
tum mujhay be panaah shiddat se chaahtay ho
tumhari chaahat
wisaal ki aakhri hadon tak
meray..faqt meray naam ho gi
mujhay yaqeen hai,,mujhay yaqeen ha
magar qasam khanay waly larrkay!
tumhari aankhon mein ek til ha.

Duaa kaa TuuTaa hu’aa harf sard aah meN hai
Terii juda’ii kaa manzar abhii nigaah meN hai

Tere badalne ke baa-vajuud tujhko chaahaa hai
Ye ai’tiraaf bhii shaamil mere gunaah meN hai

Azaab degaa tou phir mujhko Khwaab bhii degaa
MaiN mutma’iin huN, meraa dil terii panaah meN hai

Jise bahaar ke mehmaan Khaalii chhoR gaye
Vo ek makaan abhii tak makiiN kii chaah meN hai

Yahii vo din the jab ek duusre ko paaya thaa
Hamaarii saalgiraah thiik ab ke maah meN h