Sep 1, 2009

Apne bistar pay buhut

apne bistar pay buhut dair se main naim daraz
sochti thi wo is waqt kaha par ho ga
main yaha hoin magar us kucha rang o boo main
rooz ki tarha se wo ajj bhi ayya ho ga
or jab us ne waha mujh ko na paya ho ga!

ap ko ilm hai’ wo aj nahi aye hain
meri har dost se us ne yehi pocha ho ga
kiyun nahi aye wo? kya baat hoye hai akhir
khud se is baat pay soo baar wo uljha ho ga
kal wo ayegi gi to main us se nahi bologa
ap hi ap is baar wo rotha ho ga
wo nahi hai to balandi ka safar kitna kathan
seriyah charte huwe us ne ye socha ho ga
rahadari main’ hare laan main’ phoolon k karib
us ne har semtht mujhe aan ke dhounda ho ga

naam bhole se jo mera kehe aya ho ga
ghair mehsoos tareeky se wo chunka ho ga
ak jumle ko kahe baar sunayaa ho ga
baat karte huwe so baar wo bholla ho ga
ye jo larki nahi aye hai\’ kehe wo to nahi
us ne har chehra yehi soch k dakha ho ga
jane mehfil hai\’ magar aaj fakat mere beghair
haye kis darja wohi bazm main tanha ho ga
kabi sannaton se wehshaat jo hoye ho gi usey
us ne be sackta phir mujh ko pukara ho ga
chalte chalte kohi manoos se ahaat pa kar
doston ko bhi kissi azer se rooka ho ga
yaad kar k mujhe’ naam ho geyi hongi palkain
ankh main par gya kuch” keh ke tala ho ga
or ghabra ke kitabon main jo li ho gi pana
har sater main mera chehra ubhar ayya ho ga
jab mili ho gi usey mere allalat ki khabar
us ne aista se deewar ko thama ho ga
soch kar ya ‘ ke behail jaye parshani dil
yon be wajah’ kisi shaks ko rooka ho ga!

itafakan mujhe uss shaam meri aik dost mili
main ne pocha ke suno- ayea thai wo? kesse thai ?
mujh ko pocha tha? mujhe dhounda tha charoun janab?
uss ne aik lamhe ke liye daikha mujhe or phir hans de
us hansi main to wo talkhi thi ke us ke agay
kya kaha us ne – mujhe yaad nehi – LAKIN
ITNA MALOOM HAI ‘ khuwaboin ka bharaam toot gya!

No comments: